Wednesday, June 25, 2008

ek wahi...main aur khushi

ek wahi pani
jo aasman barsaaye to baarish
jo aankh se barse to aansoo

ek wahi dhoop hai
jo roshni se jeevan bhar de
jo tez tarrar kirno mein tan jhulsa de

ek wahi hawa hai
jo shama ko jalati hai
wahi aandhi ban bujhati hai

ek wahi tum ho main hoon
jo duniya se alag sath reh paaye hain
jo sath hain phir bhi paraye hain!

har roop behroopiya hai
har yakeen dhoka hai
har galti dhoondhti doosra mauka hai

jo jaisa hai woh waisa nahi
hai shaqsiyat dabi kahin
ab ya iss paar ya uss paar

ab hawa se sirf diya jalega
ab dhoop se andhera talega
ab paani sirf aasmaan se barsega

khul gaya hai umeed ka daira ufaq
nahi hai dil mein ab koi jale huye ki rakh
ab bas main hoon aur khushi hai...

2 comments:

Iti said...

you should get this composed..its a song

Pratz said...

hmm not a bad idea! who wld do that for me? rahman! hehehe yep its a song i have a tune on my mind provided i dont forget it.