Raat…
Gehri raat
Kaali raat
Andheri raat
Mayoos raat
Sadko pe sirf kutte hain
Gine chune do log hain
Nukkad pe beedi cigarette
Aur kambal odhe footpath par palte sapne
Kitni ghinoni hai raat
Kitni manhoos hai raat
Na kuch dikhta hai na
Kuch samjhta hai… bas kaali raat
Din achha hai…
Sab dikhta hai
Bhale hi woh chhalava ho
Aur andhere se bhi gehri andhapan ho
Magar din achha hai!
Kyon din pasand hai?
Sirf roshni ke liye?
Shayad raat ko dekhne ka nazariya badal do
To raat bhi achhi lagey
Na bhoolein
Jo din, din bhar thakata hai
Wahin raat chain dilate hai
Jo din aankh moondne ka waqt nahi deta
Wahi raat ko sapne ka shahar basata hai
To raat buri kahan hui?
Shayad humein hi andhere se darr lagta ho
Kyonki humne gehrayi mein jhaankne ki aadat nahi rahi
Raat…
Gehri kaali andheri ho ya mayoos
Din ke ujalon ko chutti dekar do pal sulati hai raat
Taaki uske jaane par fir subah ho sakey.
No comments:
Post a Comment